July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. January 30, 2011 at 3:59 am

    saima

    Reply

    i am very hopfull rohani ijaz

  2. January 25, 2011 at 12:33 pm

    mubashir

    Reply

    plz help me plz plz i hv maild u my problem

    1. January 25, 2011 at 9:00 pm

      Admin

      Reply

      @Mubashir
      replied

  3. January 9, 2011 at 11:53 pm

    awais

    Reply

    app maray liye istakhara kar day gay????mae ne app ko mail b ki hai abi apni mushkilat k sath…..plz moj se maray id pe rabta zaroor karain

    1. January 10, 2011 at 12:49 pm

      Admin

      Reply

      @awais

      ap ki mail nae mili

  4. December 29, 2010 at 10:19 pm

    shoaib

    Reply

    ASALAM-O-ALAIKUM :
    Aap ki website k main perhi,Email karne ka maksaad yeh hai k mujhe aap k rehnumahi chahiyeh,Qu k main Hamzad k Amal karna chahta hoon…..aap ko main yeh agah kar doon k aaj se takreeban 12 saal pehle mujhe Hamzad ko Taskheer karne buhat shouk tha…us k liyeh main ek AIENE wala amal kiya jo rozana 2 hours ka tha…ba-muskil main yeh amal ek haftay jareey rekh sagha { ijazat k baghir kiya tha } phir Amal ko chor diya,masla yeh bata doon k aab mujhe kuch “CHAAMAK” alag alag colour main dekhai deti hai { kabi kabi }.
    Aap “Amil-e-Hamzad” hain.aap ko buhat is k batray main ilm ho ga,sirf esa amal batain jis main kohi PERHAIZ {jalali-aur jamali} na ho,Aur amal PAK ho, jis main Kamiyabi so percent {100%} ho….kise kisam ka Hamzad se nuksan na ho….
    Mujhe intezar hai aap insha-allah meray rehnumahi behtaar karein gay.
    Your FaithFully Student,
    “SHOAIB”
    Karachi,
    Pakistan.

    1. December 30, 2010 at 12:08 pm

      Admin

      Reply

      @Shoaib

      ap email per rabta karain

      [email protected]

  5. December 15, 2010 at 3:20 pm

    shabana azmi

    Reply

    assalmualaikum , kiya ap hamarein liye istikhara kadein, hum bahut problem mein hai , dil aur dimak mein koi sukoon nahi hai , meine apsey shadi key liyein wazifa padney ki ijazat bhi li hai, pls kiya ap mere aur us ladkey ki shadi key liye istikhara kardein din ba din koi na koi problem ho rahi hai , uki job bhi chutgayi hai 2 mahiney sey bekaar hai, hum dono bahut pareshan hai ,ladkey key abu ney shadi key liye mana kaediya hai , pehle mujey pasand karliya phir ek mahiney baad mana kardiya , kiya ho raha hai kuch samaj nahi a raha hai , pls unki job lagjaein aur usey meri shadi sab ki raza sey aur khushi sey hojayein bus yahi dua hai . hamari madath karein

  6. December 4, 2010 at 5:23 pm

    sara

    Reply

    assalmo alaikum
    brother i want to ask whether istikhara results change with time and circumstances regarding the same topic

    1. December 4, 2010 at 6:29 pm

      Admin

      Reply

      @sara

      walaikum salam
      yes it can

  7. November 7, 2010 at 3:34 am

    amna

    Reply

    thank u so much i emailed my dream..
    looking forward to your kind reply.
    thank you once again.

    JazakAllah,
    amna,
    sister in islam.

  8. October 28, 2010 at 1:01 am

    amna

    Reply

    sir can u interpret intakhara dream, if i tell you.
    i performed istakhara but confused and no sorce available for guidance.
    i shall be great full if you help me.

    jazakallah,
    amna,
    sister in islam.

    1. November 6, 2010 at 6:46 pm

      Admin

      Reply

      @amna

      ok wright here or you can also email

  9. October 26, 2010 at 8:23 pm

    Naeem

    Reply

    Kazi Sabeeh sahab, the meaning ““tere ilm mein agar”” is similar to “agar tu janta hae” or “agar tu samajtha hae”. Just different wordings but convey the same meaning.

  10. October 9, 2010 at 12:02 pm

    Kazi Sabeeh Ahmed Kanpur

    Reply

    Assalamu Alaikum “in kunta ta’lamu” means “tere ilm mein agar”pl.consider modifying the translaion of dua e Istikhara.

    1. October 14, 2010 at 4:00 pm

      Admin

      Reply

      @kazi sabeeh

      walaikum salam

      plz explain ur comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree