June 12, 2010 in Jinnat k asraat

Jinnat k asraat

Post placeholder image

Jinnat ka insanou ko tung kerna (Jinnat k asraat)

Assalam o Alaykum

Ismail (Wazeer Shah e Jinnat) ka Qoul hai k jou jinnat logoun ko tang kerty hai aisy jinnat ki 70 Qoumain hai aur her Qoum may 70 hazar Qabeely hain aur her Qabeely may 70 hazar afraad hai.

Ager asman say aik sui b phainki jaye tou wo zameen per na girny paye gi bul’keh in k saru per ruk jaye gi.

Jinnat ka rohani ilaj aik taira masla hai laikin na’mumkin nae. Qurani wazaif aur tavezaat say behter in ka koe hul nae.

Jinnat k asraat:

1)     Jinnat insan per asar andaz hoty he usy bayhoush ker daity hai aur us ki halat mirgi k mareez ki terha hou jati hai.

2)     Jinnat o Shayateen kan’wari (bachelor) lerkiou per zeyada musalut hoty hai aur baaz dafa tou un say taluqaat b ker laity hai yahan tak k aisi lerki ba’qaida mehsoos kerti hai aur baad may aulaad b hoti hai.

3)     Chund khabees Jinnat o Shayateen ka kaam he nae nawaili dulhan per asar andaaz hou ker takleef daina ha.

4)     Jinnat o Shayateen insan ko agwa ker laity hai aur ba’qaida apny haan lay ja ker qaid ker daity hai.

5)     Pani k rehny waly Ifreet aurtoun k tamam amraaz ka sabub bunty hai aur yeh khas tour per is terha k kaam kerty hain.

6)     Jinnat k zour per insan ko gaza, khany peeny say sakht nafrat hou jati ha aur wo kae kae maheeny tak kuch nae khaa pata. Is ki misalain (examples) kae kae milti hain.

7)     Jinnat o Shayateen k zareye ghar may pathar, gundgi aur fuzla phainka jata ha.

8)     Jinnat o Shayateen k zareye jadu ki cheezain zair-e-zameen dafan kerwae jati hai

9)     Jinnat o Shayateen k zareye aag lagana. Ghar may rakhy huwy kaprou may aag lug jati ha yahan tak k baaz dafa geelay kaproun may aag lagny k waqiyaat b samny aye hain.

10)Jinnat k zareye dil may mukhtalif khyal aur wus’wasay paida kiye jaty hai jaisy muhabat, dushmani, bugz, adawat, kisi kaam say mana rakhna aur shadeed gusa shamil hain.




157 Comments

  1. February 20, 2011 at 7:34 pm

    javed sheikh

    Reply

    kisi sakhas par jinnat he ya jaadu ye kese pata lagaenge
    agar jinnat he to kese hazir honge
    konsi dua padni hei hazir karne ke liye

    1. February 21, 2011 at 7:50 pm

      Admin

      Reply

      @Javed sheikh
      in k leye mukamil amal hota ha
      detial k leye cal ker lain ya pher email

  2. January 23, 2011 at 11:18 pm

    Mohammed Nayeemuddin

    Reply

    Assalaamualekum mufti sahab..Mera ye masala hai ki meri badi bahen ki shaadi yaa fir shaadi ke liye afzal rista jum nahi paraha hai..hum log tareeban 4saal se try karr rahe hai…Allahudulillah my sister is perfect in each and every espect..and here i cant send you more detail..I Wish that you will be having perfect solution for this..Plz mail me Jazakh allah..Allah hafiz

  3. January 16, 2011 at 5:04 am

    shahid

    Reply

    assalamu alaikum, m frm india.
    Main aur meri g.f samina ek doosre ko bhot pyaar karte hain, par samina pe shayad jinn ka asar hai, jb b main uske qarib jata hun pata nai usey taklif hoti hai. Kbhi kbhi raat me sms karte karte wo behosh ho jati hai aur uske cell se dhamki bhare sms aate hain aur jb hosh me aane k baad wo check karti hai toh sent box khali milta hai.
    Plz meri madad karo.

    1. January 16, 2011 at 9:49 pm

      Admin

      Reply

      @Shahid

      walaikum salam

      ap apni aur lakri ki detail email ker dain

      [email protected]

  4. December 31, 2010 at 8:46 am

    manzar hasan siddiqui

    Reply

    Asalamualaykum,

    Kafi arsay say meray kaam, moashi moamlat main rukawat aajati hay aur khas tur par meri wife ki tabiat taqreeban do saal say buhut kharab (seenay ka operation hu tha) hay buhut logon ko dhikaya ziazda tar logon nay jadu kay asrat ka bataya kuch waqti fyda bhi hua magar phir tabiat kharab hu jati hay aikdu hazrat nay jinnat ka asar bataya tha ju unhon nay khaha tha wu bhi parh kay dekh lia meri wife ka naam………….hay. Is maslay ka hal tajweez farma dain bari maharbani hugi.

    MANZAR HASAN SIDDIQUI

    1. January 2, 2011 at 12:44 am

      Admin

      Reply

      @manzar
      walaikum salam

      ap ko email ker di ha

  5. December 10, 2010 at 8:25 pm

    Abdul Rehman Wajid

    Reply

    AoA,

    Kafi arsay say kammo & moashi moamlat main rukawat chal rahi hay. Baray maharbani is maslay ka hal tajweez farma dain.

    1. December 12, 2010 at 7:58 pm

      Admin

      Reply

      @Abdul Rehman wajid
      w.s
      ap apni detail email ker dain

  6. November 23, 2010 at 2:11 am

    Saida

    Reply

    Salaam mwaleikum please send taweez protection

    1. November 24, 2010 at 9:21 pm

      Admin

      Reply

      @saida

      w.s

      for tavez email

  7. November 22, 2010 at 9:59 pm

    sahrish

    Reply

    asa,,,mufti shahab mje jald koi wazifa btaien,humdono aik dosary ko pasand krty hein ar shadi krna chaty hein par larky k ghar walon ne larke ko shadi se pehle england bhejne ka socha hai mere ghr waly kehty hein nikah krk jaye aise nahi ap plz koi wazifa btaien k wo jaye na yahan par hi karobar apna sambhaly mera id ye hai ………… jawab is pe dein plz jaldi
    JazakALLAH

    1. November 24, 2010 at 9:20 pm

      Admin

      Reply

      @sahrish

      w.s

      ap ko email ker di ha

  8. August 26, 2010 at 6:43 am

    Sh@hab

    Reply

    sir ! kya harr wazeefay k liye 11 dafa darood shareef parhna lazmi hai…aisa kyu hai… .. Kya iskay bagair b wird krskty hain..

    1. August 26, 2010 at 10:19 am

      Admin

      Reply

      @ Shahab

      aoa

      her wazify k leye darood shareef awal o akhir perhna lazmi hota ha. taq adad may perhna behter hota ha i.e. 3,5,7,11 or is say zeyda jitna chahye.

      Hades k andar ata ha ju dua b darood k bagair mangi jaye tu wo Allah k huzoor tak nae pohnchti. koe b amal darod shareef k bagair qabil e qabool nae

  9. August 23, 2010 at 9:42 pm

    Ash

    Reply

    plz meri jaldi help karein mein ne ap ko apni problem snd ki hai…..

    wass’slam

    1. August 24, 2010 at 2:54 pm

      Admin

      Reply

      @ash

      aoa

      rep ker dia ha

  10. July 21, 2010 at 10:42 am

    Shabab

    Reply

    Salaam

    Yeh saara mawad to kitaab aasaibi quwatoon se nijjaat naami kitaab se churaya gaya hay .
    Yehi aap ki ilmi qabliyat hay ?
    aap nay jinnaat ko aik maamooli tinkay se ziada ki ahmiyat na di , jab keh yeh wahi qom hay jis nay hazrat suleman a.s se unka takht o taaj chheen lia tha

    1. July 22, 2010 at 6:38 pm

      Admin

      Reply

      @Shabab
      walaikum salam

      bari mehrbani is taraf ap nay tawauju dila di.

      bahi hum is qabil kaha aur hamari ilmi qabliyat kaha kuch nae ha

      rahi baat ju ap nay ki k “falan” nami kitab say sara muwad churaya ha, tu bahi hamary Islaaf nay mehnat ker k ju ju amal kiye aur ju ju wazaif kieye un ko pher kisi kitabi/bayaz may jama kia apny shagirdou k leye. aur pher us kitab/bayaz ki ijazat (ju ju qabil e ijazat amal hai) apny shagirdou ki di you silsila chul raha ha

      mumkin ha koe amal ap nay us book may daikh lia hu tu is ka matlab yeh nae k wo us kitab say churaya gia ha matlab yeh ha k ju ju amal hum nay diye ha un ki ijazat hamain hai aur hum nay wo amal kieye huwy ha

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree