March 12, 2010 in Jadu k asraat (Types of magic)

Jadu k asraat

Post placeholder image


Types of Magic – Jadu ki Aqsaam – Jaadu k asraat

Assalam o Alaykum,

Jadu say insan her wo kaam ker sakta hai ju shaitaan per dalaalut kerta hai.

1) Judai ka jado: jou mian bivi, behan bahiyoun garz aapis may judai daalny k leye kia jata hai.

2) Bugz o Adawat ka jadu: jis say aapis may larai jhagra shuru hou jata hai

3) Bemari ka jadu jis say kisi b khas bemari ya kae bimarioun may mubtala kia jata hai

4) Halakut ya jaan say marny ka jadu: yeh jadu ka intahae khaternaak waar hota hai jis say kisi ki b jaan li ja sakti hai. Is jadu may jadugar aik “Haandi” tayar kerta hai jis may tavezaat likh ker Jinnat o shayateen ko pabund kia jata hai aur jis ko halak kerna hota hai us k sir k baal ya us k istaymaal ki koe cheez rakhi jati hai aur phir us ka putla bana ker us may common pins (suiyan) chu’bhu (gaar) di jati hai. Aur phr taqatwar jinnat o shayateen yeh handi utha ker matloob k ghar may giraty hai jis say phir tabahi he tabahi phailti hai.

5) Mu’eina muddat ka jadu (fix time period magic) kisi b kaam k leye meyaad muqarar ker k jadu kia jata hai ager jadu ki meyaad ko chund maheeny ya aik saal guzra hou tu pher aamil – kaamil hi is ka tour ker sakta hai aur ager is say b waqt ya meyaad tajawuz (guzar) jaye tu pher wali I kaamil he elaj ker sakta hai

6) Pagal ya diwana banany ka jadu: jadu ki madad say aik sehat’mund aur tandrust insane ko pagal ya diwana b banaya ja sakta ha.

7) Jadu k zareye Shayateen o Jinnat ko pabund kerna: jadu k zareye Jinnat ko kisi per b musalut kia ja sakta hai aur pher takleef di jati hai aur us insane ki zindagi ajeerun pershan kun hou jati ha

8.) Khawateen k jumla amraaz: jadu k zareye khawateen k mahana nizam k andar bay’tertibi lana, ussy jari ker daina, roak daina, waqt bay’waqt takleef, jalun, sozish , damage ka chakrana, ulti (Qay – vomiting) ka aana, jee ghabrana, khas ker kamar may dard aur aulaad ki bundish jaisy amraaz k leye jadu kia jata ha.

9) Murd k jumla amraaz: yeh jadu mard k jumla amraz jaisy murd ka aurak per qudrat hasil na kerna, mubasha’rut/humbistari ki bundish, naa murd banana shamil hai

10) Susti aur kah’li ka jadu: is jadu k andar kisi b insan ko sust aur kahil bana dia jata ha k us ka kisi b kaam ka andar dil na lagy aur wo koe kaam na ker saky ya is ki tabeat kisi b kaam ko kerny ki na chahye.

11) Bundish ka jadu: is jadu k zareye kisi b kaam ko hony say roka jata hai jaisy Rishtay ki bundish, nikah ki bundish, rukhsati ki bundish, talaq ki bundish, humbister (jama) kerny ki bundish, karubaar ki bundish, aulaad ki bundish, sehat ki bundish k dawae asar na kary, gawah ko gawahi say rokny ki bundish wagaira shamil hai.

12) Nazar bundi ka jadu: jaisy Firoun k jadugaru nay kia tha k rus’sian saamp nazar aati thi. Is terha ja jadu Bundar (Monkey) ki aankhu ki madad say seekha jata ha.

13) Muhabbat ka jadu: is jadu k andar dousry k dil may hud say zeyada Muhabbat paida ki jati hai. Ager aurat k leye kia jaye tu murd (male person) k pani say tawez likh ker aurat ko pilaya jata hai aur isi terha lakry k leye aurat k pani say likh ker pilaya jata hai.

14) Islam say duri ka jadu: is jadu k andar musalman k dil may shakook o shubhaat paida kieye jaty hai keh wo Islam say mutnafar hou ker kufar kary. Taqatwur shaitan is kaam may khud berh churh ker hisa laity hai.

15) Janwaru per jadu kerna: janwaru per b jadu kia jata ha jis say un k andar doodh ki kami, achanak mout waqya hona, mukhtalif amraaz, aur paidaish ki pabundi ki jati ha.




148 Comments

  1. February 22, 2012 at 2:58 pm

    misbha

    Reply

    agar hm ap sy kam karwy to ap kitny pesy ly gy or hm apko keasy dy sakty han peasy

    1. February 24, 2012 at 1:07 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @misbha
      aap email per rabta karin . [email protected]

  2. February 11, 2012 at 1:13 pm

    misbha

    Reply

    shadi wala wazifa nagy k dino me bi phar sakty hn kia

    1. February 12, 2012 at 11:08 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @misbha (jeemisb)
      qurani ayat wala wazifa nahi kia ja sakta . nagy ka din jo reh jain baad main pury kia jain gay

  3. February 10, 2012 at 7:46 am

    misbha

    Reply

    meny apni sistar k bary me pochna h wo jisy basand karti h larky ko us k ghar waly nai mant shadi k liy plz wazifa baty jis sy dono k ghar waly man jay or shadi ho jy plz plz plz

    1. February 11, 2012 at 1:37 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @misbha(jeem)
      “wazifa for Love Marriage” is maqsad kay liye

  4. February 7, 2012 at 10:20 pm

    147

    Reply

    Hum 1999 sy nikah mai hain per hamary darmiyan kabhee humbistaree nahee huee, woh kaam bhee nahee kerty buhat sust rehty hain oor ghussa bhee buhat kerty hain ……. mujhy nahee pata yeh jadoo hai ya kya, plz koi kalam perny ko bata dain

    1. July 14, 2012 at 11:04 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @147

      email per rabta ker lain

  5. January 29, 2012 at 5:38 pm

    ANWAR

    Reply

    MOHATRAM,AOA,
    PIYARE NABI HAZRAT MOHAMMAD MUSTAFA SALLAH HO ALLAHE WSSALAM PER HANE WALE JADOO SE MUTALIQ AAGAH KRAIN.JAZAKALLH

  6. January 20, 2012 at 1:13 pm

    Alif

    Reply

    Asalam,
    Mere Abbu aksar koi pareshani ke wajah se kaam par nahi jate ya gaye bhi toh unka dil kaam mein nahi lagta ..hum kafi saalo se pareshan hai kafi illaj karwaya par koi asar nahi ya kuch dino tak thik chalta hai fir sub waisa ka waisa ho jata hai,woh namaz par bhi kayam nahi hai aur kafi maulvi kehte hai ki unpar bandish hai par koi madad nahi karta us bandish ko jad se mitane mein …Agar aap koi illaj bataye ya koi asardar wazifa jo main aur mere ammi ghar mein padh sake is rozgar ki pareshani ko duur karne ke liye toh Allah ke baad aapke kaafi shukra guzar honge aur har dua mein aapka zikr karenge ke Allah aap ko aapke kaamo mein khub kamyabi dey aur har zarurat mand ki madad ka zariya bane aur Allah aap sub ko Dinni aur Duniyai kamyabi aur tarraki hasil kare ..Ameen
    Allah Hafiz

  7. January 19, 2012 at 6:44 pm

    Rizwan Khan

    Reply

    Sir, is there any proper way to get rid of black magic completely, if yes, can you please tell me the charges for that, I am suffering from black magic for last 8 years, main bohat pareshan hon, zingadi main jo kuch haasil kia tha sab haath se chala gaya hai, samjh nahi aata kya karon…. Please meri madad karen

    1. January 23, 2012 at 2:12 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Rizwan Khan
      you can contact my on my email with your complete details .
      [email protected]

  8. December 28, 2011 at 2:47 am

    mohdismailshaik

    Reply

    Asslalamualaikum,sir mera naam salman hai mai 21ka hu mere pet me dawa padh kar dala gaya hai aur mere uppar jado kiya aisa kuch aalimo ne kaha hai meri pet ki takleef pair nakoon se lekhar galey ke rago aur gosh tak horahi hai mere ghar bana they waqt kuch handiya bhi mili hai mere takleef pasliyo me aur sino me bohat zaada ye dard barey se mujhey plz chutkarey plz kuch ilaaj bataye

    1. December 29, 2011 at 11:14 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @mohdismailshaik
      aap email per rabta karin apni mukamal details k sath .
      [email protected]

  9. December 25, 2011 at 1:46 am

    amna

    Reply

    Aoa ijaz bahi mery rushty ka bht masla hai jahn b baat chalti hai koi na koi rukwat ajati hai…bht sary logo ka kehna hai k muj pr bandish hai ap he btaeh..

    1. December 30, 2011 at 1:47 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @amna (amna_butt)
      aap apni details k sath email per rabta karin [email protected]

  10. December 9, 2011 at 12:34 pm

    aqsa kanwal

    Reply

    aoa bhai mai boht pareshan hon 5sal rishty ko ho gay hai shadi nahi ho raahi koi wazeefa bata dayn

    1. December 30, 2011 at 7:39 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @aqsa kanwal
      aap “Wazifa for Girls Marriage” kar lain Link:http://roohaniijaz.com/rohani-wazifa-for-girls-marriage/
      permitted for it

Leave a Reply to imran Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree