July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. April 24, 2013 at 12:42 pm

    tahira

    Reply

    sir i have a perposal which belongs to my father relative.He is not seltled and no personalty but my father is blindly want to marry with him but i can never ever except him.but my father is not listening any body plz tel me any wazifa that my father come to our point of view….my mother and i m very worried plz help us .
    i will be really thankful to you

    JAZAKALLAH

  2. April 23, 2013 at 3:51 pm

    shahnaz

    Reply

    salam!!
    mere do maslay hain,1 to meri beti ka bht sare ache rishte arahe ha,bech ma koi bat nahi ha,lekin phr b bath pakki nahi ho rahi kise se,beti ka nam shazmeen haor mera shahnaz,is k liye jo bahter ha wo bata dain,or wazifa b bata dain,dosra masla ya ha k mera bara beta shahzad (ACCA) kar raha ha 2 saal se lekin kamiyabi nahi mil rahi,srf 1 paper 2 sallo main pass kia ha os ne,or ese halat b nahi ha humare k mazeed kharcha karen is par to ap bata dain k k kia ya sabak is k liye bahter ha ya jaree rakhe ya nahi???
    dono sawalon ka tafseel se jawab dijeaga,apki bari meherbani hogi shukria…..

  3. April 20, 2013 at 11:28 pm

    SAIF FAROOQ AZIZ

    Reply

    ASSALAM ELLEKUM

    PLEASE HELP ME I GOT MARRIED ON 08-10-2011 WITH A DIVOURCE WOMEN EVERYTHING GOING WELL BUT SUDDENLY SHE TAKE KHULA ON 21-02-2013 WITHOUT ANY PROPER REASON. i DONT UNDER WHY THAT HAPPENED MY DATE OF BIRTH 09-10-1975 PLEASE GUIDE ME IF POSSIBLE.

  4. April 20, 2013 at 11:48 am

    sadia mughal

    Reply

    Assalam u alikum sir mera rishta aya meri mangni bhi hui mngni k 7 ya 8 mah bad meri mangni toot gai waja choti choti baten bani lkn mai or mera mngetar aaj bhi 1 dosre k sth hen or achy tariqay se izzat k sth shadi krna chahty hen lkn larkay k ghr waly kisi tor nai maan rhy jb k lary ne bht zor lagaya k meri wahin shadi kr den mai or kisi se nhin krwaonga hum 1 dosre se bht pyr krty hen chor nhin skty plz hmari madad frmaiye Allah paak apko iska ajar de ga ameen

  5. April 20, 2013 at 9:55 am

    sadia

    Reply

    Asalamualikum..my husband name is zeeshan zahid..kindly do istakhara for us…jab se hamari.shadi hoe hai tab se he hamari nai ban rahee…larai bhe fazool batoon per hoti…ab tou baat talaq tak pohch gaye hai..meray 2 bachay bhe hn…lakin pata nai kiya masla hai..woh meri care bhe nai kertay..mojay paisay bhe nai daitay…martay bhe hn galiaan bhe nikaltay hn…hatta k family biht mazhabi hai…abhe ham.dono ummmrah ker k aye hn wahan bhe aik dafa choti c baat per larai ho gai…aur unhoon nay wahan per he mojay talaq ki dhamki Di…mein kabhe nai lariii un se…ager ghussay mein kuch bool bhe dain tab bhe chup he rehti hn…plz istakhara ker k batain akhir hamara kiya masla hai…boht parishan hnnn…shukriya

  6. April 20, 2013 at 9:51 am

    Nazia shafi

    Reply

    aoa
    sir i am astudent MCS , mara viva ha 24 april ko me istakhra nd dua krwana chahti hn.k mujy buht achi job mil jay .or mara MCS buht achy marks me complate ho jay or mara haq me buht zada dua kna plz plzzz
    plz or mujy jaldi jawab dn plz plz

  7. April 16, 2013 at 3:41 pm

    farah

    Reply

    sir plz jawab dain i m still waiting

  8. April 15, 2013 at 2:53 pm

    Muhammad sajid

    Reply

    Asslam O alykum ,
    Me aik larki ko pyar krta hn or woh b mujh se bht muhabat krti hy , par mje yeh istikhara krwana hy k kya hmara rishta easily ho jae ga or agar koe masla hy to ap koe wazifa bta den ta k jb rishta krne lgyn to koe masla na ho ….. Or woh larki b mujh se bht muhabbat krti hy ….. or baqi details jb apka reply ae ga to us pa mail kr dnga ….. Or aik or bt us larki ko cancer hy uska nikkah toot gya tha to mene uska hath thama hy …. me apk ans ka intizar kr rha hn ….

    Shukriya ….

  9. April 10, 2013 at 5:02 pm

    farah

    Reply

    apk jawab nai mila plz jawab dain shukriya

  10. April 9, 2013 at 8:19 pm

    farah mohd zubair

    Reply

    salam mene subah question kya tha mjhe jawab nai mila

Leave a Reply to waqar ali Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree