July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. July 27, 2011 at 1:10 pm

    Bia

    Reply

    AOA, I want permission for the wazifa, but have one problem i cant give them anything to eat. What can i do in this case?

  2. July 25, 2011 at 4:57 am

    Ghanima Shahid

    Reply

    Asslam alikum molana sahib. ap ka programe bohot achaaaaaaa hai

  3. July 22, 2011 at 11:17 pm

    samreen

    Reply

    salam,muje ap se ye pochna hai kek time pe ziada wazaif ho sakty hai ek maqsad k liya

  4. July 22, 2011 at 11:11 pm

    samreen

    Reply

    salam,muje plz ye muhabbat k liya jo wazefa hai parhny ki ejazat day may jaiz kaam k liya karongy plz

  5. July 21, 2011 at 11:59 am

    AZRA QURESHI

    Reply

    ASLAM O ALIKUM .MUJA WAZIFA KE IZZAJAT DIEN MIEN BIWI KE MOHABBAT KE LIYE

    1. July 22, 2011 at 4:17 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Azra Qureshi
      wazifa for love between husband n wife ker lain

  6. July 18, 2011 at 9:19 am

    dadapeer

    Reply

    assalamualaikum mujhe apse ye sawal hai ki meri maa ki tabiyath kabhi bi nazaz rehti hai unper koi jadu ke asrath ya bandish kiya gaya hai kya mujhe bataiye meri maa ka naam hai shahazadi begum aur meri behenon ke ristey me koi rukawat kyou arahe hai is ke bare me bhi kooi jadoo k asrath ya rukawat ki bandish ki gayi hai

    1. July 21, 2011 at 2:11 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Dadapeer
      walaikum salam

      hisab k leye email ker alin

  7. June 24, 2011 at 11:34 am

    aysha

    Reply

    salam mjay ye batien k wazifay ki jo dua hoty ahi wo kithni dafa purhni purthy hai…?

  8. June 1, 2011 at 4:15 am

    mani

    Reply

    mujey ijazart dein es ki

    1. June 10, 2011 at 5:11 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Mani
      ijazat ha

  9. May 24, 2011 at 10:21 am

    hafiz ijaz ali

    Reply

    assala mo alaikom.
    sir kia hal hay ap ka ?sir mene ye puchna tha k jo wazif ya tawiz wagera ap ne yahan rakhy hen kia in k lia ijazat lena zaroori hy????????????

    1. June 8, 2011 at 3:35 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Hafiz ijaz ali
      walaikum salam

      ager lay li jaey tu behter ha

  10. April 28, 2011 at 10:56 am

    mahek

    Reply

    salam app se yeh puchna tha k har wazifat k end me likha hy ijazat zarrori hy kis se ijazat lena zarrori hy? do reply

    1. June 15, 2011 at 9:11 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Mahek
      ju b wazifa kerna chahy to waha per request ki ja sakti ha InshAllah ijazat day di jaye gi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree