July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. November 5, 2011 at 2:16 pm

    someone

    Reply

    aslamalkum please mujay bi ijazat dain

    1. November 11, 2011 at 12:31 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @someone

      ijazat hai gee

  2. November 3, 2011 at 1:23 pm

    someone

    Reply

    aslamalkum please mujay bhi ijazat dain

    1. November 10, 2011 at 12:36 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @someone

      ijazat hai

  3. October 22, 2011 at 9:58 am

    someone

    Reply

    aslamalkum.please mujay bhi ijazat dain.

  4. October 17, 2011 at 9:54 am

    fozia

    Reply

    mera naam fozia ha, (kisi ne kha ha k nikah ma fozia riffat likh do) ………………mere liye fozia naam theek ha ya fozia riffat? mera sitara or numbr kya ha or ghulam rabbani ka sitara or nmbr kya ha , shadi kis tareekh ko krni chahiye?

    1. October 29, 2011 at 10:36 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Fozia

      in ki koe haqeeqat nae

  5. October 5, 2011 at 8:10 am

    imtiaz ahmed

    Reply

    Asalam u Alaikum
    mera karobar khatam ho gaya hy
    meri shadi pasand ki jaga nhy ho parahe larki k walid nhy maan rahe
    dono problams k lye konsa wazifa karna chahye
    pls bohat preshan hon koi jaldi hal bataye
    hadardi ka tlabgar

    1. October 29, 2011 at 10:14 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @imtiaz ahmed
      w.s

      email

  6. September 29, 2011 at 7:57 pm

    blue drop

    Reply

    i want your help

  7. August 17, 2011 at 3:19 pm

    sadia

    Reply

    give me permission for above mentioned wazifa of meethi thing to give to love once

    1. October 16, 2011 at 12:57 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Sadia
      ijazat ha

  8. August 16, 2011 at 4:25 am

    chandni

    Reply

    Assalam O A LAIKUM, g kia mai muhabbat ka dam apne mangetar par karsakti hon?plz muje permision den.

    1. September 27, 2011 at 11:16 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Chandni
      w.s
      yes

  9. July 28, 2011 at 4:39 pm

    Bia

    Reply

    Please mujhay reply kar dain. Mein mohabat ka dum karna chati hon magar mein un logon ko kuch khila nahi sakti, koi haal bata bain please mein bhut parashan hoon. Please.

  10. July 28, 2011 at 12:15 am

    farha

    Reply

    Asslamo.alaikum
    mujhe apse ya sawal puchna hai k meri tabiyat aksr na saz rehti hai me ne hr ilaj krwa liya lkn bukhar ser me dard our kafi dard hai jo kbi khatam nhi hote.pls mujhe batae me kia karun

    1. July 28, 2011 at 4:08 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Farah

      walaikum salam

      ap email ker lain apni details

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree