Wazifa Baraye Muhabbat( True Love )
How To Use:
This is a Roohani Wazifa for Love and this is a spiritual method for only those who really want a true love.
- Read Surah-e-Ikhlas 105 times for 21 days after Fajar Prayer or Esha Prayer keeping the loved one in mind .
Amal kay lawazmaat, points for amal/wazifa
Here below are some points for amal if you keep these points then the result will be 100% InshAllah.
1. Shadi ki neyat say perhna (khaloos e Neyat)
2. Rizq e Halal ki pabandi
3. Amal k doran namaz aur baqi arkaan ki pabandi
4. Amal Ijazat lay ker kia jaye.
5. Ager talib ya matloob per kisi kisam k jadu/jinnat k asraat zeyada hou tu pehly un ka ilaj kia jaye
6. Amal say pehly ager 2 rakat salat u Toba perh ker Allah say apny gunahou ki mafi maang li jaye aur amal ki kamyabi k leye dua ki jaye.
7. Awal akhir 7 ya 11 bar Darood shareef perha jaye.
8. amal k doran maqsad (matloob) ka kamil tasawur kia jaye aur akhir may apna aur matloob ka naam (with mothe name) lay ker dua ki jaye. aur akhir may tasawur may he us ki taraf phoonk mari jaye.
9. Amal Monday ko ya Thursday ko shuru kia jaye aur pehly din jis waqt perhy rozana pher usi waqt perha jaye.
10. Amal ka kisi say zikar na kary aur Allah ki zaat say na’umeed na huwa jaye
11. Amal shuru kerny say pehly saqda (apni haseyat k mutabiq) dia jaye.
August 8, 2013 at 1:01 pm
faheem
mujhe ijazad den barae mahrnani
August 8, 2013 at 7:52 am
Henna
Apnay jayez ishq e majaazi, apnay shohar ke liye te wazeefa karna chahti hoon. Baraye meherbani ijazat inayat farma dijiye. Mazeed ye ke un pe ya mujh pe koi amal ya asar hai ye kaise maloom aur khatam kiya jaye. Mere har kam men rukawat aur intehaai had tak mehnat ke baad koi nateeja nikalta hai. Bohat sakht zindagi guzari hai aur ab bhi husool e moash ki wajah se shohar se door hoon. Raat din un ke sathh zindagi shuru karne ki dua karte guzarte hain. Kuch madad farmaiye. Allah aap ka haami ho.
August 7, 2013 at 11:52 pm
Shabana Naheed
Mujhe is wazife ki ijazat day dijiye par mujh par bandish ki gai hay . Aur
Putla Aur tAweez bana kar Dacian kiye Gaye hain. Kindly koi Hal bata dain
August 7, 2013 at 10:15 pm
Humair
Main ye wazifa krna chahta hon,
mujhy ap ki ijazat ki zarorat hai,
plz ijazat dain.
August 7, 2013 at 10:10 pm
Humair
Mujhy amal ki ijazat chaheye.
August 7, 2013 at 5:17 pm
Shabana Naheed
Main mohabbat wala Amal yani surah ikhlas ka Amal karna chahti hoon. Par log kehtay
Hain Kay mujh par brandish hay Aur mera putla bana kar dafnaya giya hay
Aur is Kay sath taweez Bhi dafnaya Gaye hain. Kya yah mumkin hay Kay brandish ka tod Ho jaye Aur
Main Bhi shadi kar Kay apna ghar basa sakon. Meri Walda ka naam rukhsana hay
Ek pareshan haal
August 6, 2013 at 11:27 am
sumbal
plz mujhe ijazat dain.ain buhut mushki hoon
August 6, 2013 at 11:23 am
sumbal
i am really in need for this wazifa.plz send me ijazat on face book
August 5, 2013 at 7:23 pm
hadia
allow me
August 5, 2013 at 6:14 pm
samina
Sir muje ijaza Chaney ye wazifa karna chahte hu