Wazifa Baraye Muhabbat( True Love )
How To Use:
This is a Roohani Wazifa for Love and this is a spiritual method for only those who really want a true love.
- Read Surah-e-Ikhlas 105 times for 21 days after Fajar Prayer or Esha Prayer keeping the loved one in mind .
Amal kay lawazmaat, points for amal/wazifa
Here below are some points for amal if you keep these points then the result will be 100% InshAllah.
1. Shadi ki neyat say perhna (khaloos e Neyat)
2. Rizq e Halal ki pabandi
3. Amal k doran namaz aur baqi arkaan ki pabandi
4. Amal Ijazat lay ker kia jaye.
5. Ager talib ya matloob per kisi kisam k jadu/jinnat k asraat zeyada hou tu pehly un ka ilaj kia jaye
6. Amal say pehly ager 2 rakat salat u Toba perh ker Allah say apny gunahou ki mafi maang li jaye aur amal ki kamyabi k leye dua ki jaye.
7. Awal akhir 7 ya 11 bar Darood shareef perha jaye.
8. amal k doran maqsad (matloob) ka kamil tasawur kia jaye aur akhir may apna aur matloob ka naam (with mothe name) lay ker dua ki jaye. aur akhir may tasawur may he us ki taraf phoonk mari jaye.
9. Amal Monday ko ya Thursday ko shuru kia jaye aur pehly din jis waqt perhy rozana pher usi waqt perha jaye.
10. Amal ka kisi say zikar na kary aur Allah ki zaat say na’umeed na huwa jaye
11. Amal shuru kerny say pehly saqda (apni haseyat k mutabiq) dia jaye.
March 28, 2011 at 1:24 am
maha
i want permission for this wazifa
March 31, 2011 at 8:58 pm
Roohani Ijaz
@maha
permitted
March 28, 2011 at 12:44 am
abdurrehman
shukriya sir jee..
sir jee mujeh shak nahe hai main sirf jo ziada behtar wazifa ho wahe jannay ki koshish kar raha tha..
kya aisa ho sakta hai k pehle main yeh wazifa kar lun or baad main woh love spell wala..?
sir jee main chahta hun ka kaam 100% hojaye bas or kuch nahe..
March 31, 2011 at 8:58 pm
Roohani Ijaz
@abdurRehman
yes
March 27, 2011 at 10:51 am
Saher
Assalam alaikum
I request your permission to start this wazeefa.
May Allah bless you
March 28, 2011 at 12:11 am
Roohani Ijaz
@Saher
walaikum salam
permitted
ameen
March 27, 2011 at 4:51 am
zeeshan ali
aur mujay yeh maloom nai tha kay pic per nai sirf tasawur main blow karna ha , main tu saray days pic per hi karta raha , tu kia mera amal ka asar nai hoga ? kia mujay dobara shoro karna parega? aur agar dobara shoro karna hoa tu koi specific day say karna hoga?
March 27, 2011 at 4:28 am
zeeshan ali
Asalam o alaikum ,
agar kisi din ghulti say 105 ki jagah 109 parh lia jay tu kia sara amal zaya ho jayega /???? phir kia hoga aur kia karna hoga?
March 28, 2011 at 12:10 am
Roohani Ijaz
@Zeeshan ali
walaikum salam
ager galti say zeyda perh lia tu pher dobara say perha jaye udhr he bhait ker
pic per tu nae kerna tha but ab dobara sa ker lain tu behter ha
jumarat ko
March 27, 2011 at 2:20 am
abdurrehman
shukriya sir jee..
main ne aap ko mail kiya hai os may aik sawal pocha tha aap se…plz os ka jawab mujeh mail kar dain..
or sir jee main aap se yeh pochna chahta hun k kis wazifay ka asar ziada hota hai..is wazifay ka ya woh meethe cheez par dam karnay wala wazifay ka…?
matlab in dono may se koi aik wazifa to ziada asar rakhta hoga na..plz jawab jald thay ta k main aap ka bataya howa wazifa shoro kar sakun
March 28, 2011 at 12:09 am
Roohani Ijaz
@AbdurRehman
ap ko bataya tu ha dounu he apni apni jaga asar rakhty ha
ap ko shuk ha to pher koe b na karain because shuk say to koe b amal na qabool hota ha aur na he us ka asar hota ha
March 27, 2011 at 12:45 am
ali
please tell k tasweer us ka chehra ly kar ana ha k us ko apny samny tasawer karna ha
main uski pic mai jo chehra ha us ko imagine karta hon
please tell me k tasaweer kiss tarah ka hona chaheay
March 27, 2011 at 1:30 am
Roohani Ijaz
@Ali
tasawur face ka he hona chahye aur sath may yeh hou k wo shadi k ley tayar hou jaye
March 26, 2011 at 4:51 am
sister in need
Toh phir aap please kuch aur wazaif b post kar dein…pyar k liyeh…jis mein khilanay ki cheezo mein dum na karna pharay kyun k mein ussay mil nai sakti jab tak kuch ho nai jata aur uske dil me mere liye pyar nahi aajata…i am sure doosray log bhi agree karen gay mere saath aur woh bhi aur options chahyeh gay.
Laykin meri samajh mei yeh nai aaraha k woh dosray logo ne aaisa kyu kaha k chances kum hai…kyu k uske dil mei mere liye pyar bunana hoga…agar uski life mei koi hai larki (uski gf) toh mera wazifa ya aapka aveez kaam karsakta hai?
March 27, 2011 at 1:18 am
Roohani Ijaz
@sister in need
ok. InshAllah baqi b post kiey jain gay
yes kaam tu hou ga
March 26, 2011 at 1:22 am
Fatima
Asalamalekum…
I want permission to do this Wazifa?
March 27, 2011 at 1:06 am
Roohani Ijaz
@Fatima
walaikum salam
permitted
March 26, 2011 at 12:35 am
abdurrehman
salam sir jee…
aap k is wbsite par love k liye 2 wazifay hain..aik wo kisi meethi cheez par dam karnay wala wazifa aur aik yeh..main ap se yeh pochna chahta hun k app k khyal se kon sa wazifa mufeed aur ziada asar rakhti hai..
jawab ka intizar rahega
March 27, 2011 at 1:06 am
Roohani Ijaz
@AbdurRehman
dounu apni apni jaga faida mung ha