July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. May 22, 2013 at 8:32 pm

    Rukhsana kosar

    Reply

    Sir,maira msla yeh hy k mairy husbnd judah hoty hein mairi saas unhy hr wqt ghr ki eak eak bat btati rehti hein ziyda tr mairy khilaf chay maira kasor ho ya na ho,mjhy kuch unhy kuch btati hein mairy hsbnd unki hr baat pr yaqeen krty hein mjh sy pochna confrm krna tk gawara nai krty ,na pakistan khud aty hein na mjhy bulaty hein hmri ulaad b nai hy,mairy hsbnd gusy k bht taiz hein mjh sy 4 months sy koi rabta nai kabi talaq kbi alaidgi ka kehty hein jb k maira kasor b koi nai main apni ammi ki trf hon plz istkhara kr k btaain mairy halat aisy q hein jb k main namaz b prti hon

  2. May 18, 2013 at 10:29 pm

    fizza amjad

    Reply

    aslam-o-alaikum
    sir mari 2 problem hain 1 to y ha k mari memory bohat week ha jo b parti hn w bhool jati hn halank m masters kar rahi hn or toper hn bt mujy pta nai kia ha jo b study kia hota ha last semester m sb bhol jati hnor 2 masla y ha k mary father logo ki baton m bohat jald a jaty hain koi aik dafa hass k bhol pary w us p apna sb kuch nichwr karny ko tyar ho jaty hain chahy w koi dushman hi kio na ho or kitna h bura salook kar chuka ho.ab hm 2 sisters hain or hamari shadi ko ly k w bohat pryshan hain un ko tntn hony lagti ha hamary mujy dar ha k w jald bazi m kahin hmary liy koi galt faisla na kar bathain.plz mujy in ka hal btain k kis tara sy mari y problm hal ho sakti hain????????
    ap ko allah pak is ka ka ajar dain gy shukria………………………………..

  3. May 18, 2013 at 9:17 am

    sak

    Reply

    Assalam o alikum..
    Mjhy ye arz krna hy k Mn jahan shadi krna chah rhi hun wahann meray walid sahab ki raza mndi nhi..
    mein nay istekhara kiya hy aik din ka us mn acha aya hy…tu kiya mjhy sb ko istekhara btana
    zarori hy ? ya Allah tala ki traf sy asbab ban jaiengay khud ?
    Kindly reply..
    thankyou…!

  4. May 16, 2013 at 12:33 pm

    laila

    Reply

    mehrbani kr k mjhe istikhara krwana ha mera ye kam kr den

  5. May 16, 2013 at 9:51 am

    laila

    Reply

    ASSLAMU ALAIKUM
    sir mery ami mera rishta mian sheraz bari k nam k aik shakhs se krwana chahti hen to mehrbani frma kr hmen btaen k ye rishta kaisa rhe ga?

  6. May 15, 2013 at 7:17 pm

    Fakhra

    Reply

    mery husbend ka nam Bilal Ahmed hai humari shadi k bad bht laraeyan or jaghry hoty rahy hen pichy 6 months sy mai apny father k yahan hon mujhy yeh istikhara karwana tha k kia mera ghar busy ga k nhi ?

  7. May 15, 2013 at 12:05 am

    Fakhra

    Reply

    my husband name is Bilal Ahmed jub sy humari shadi hoi hai tub sy jhagry hi jhagry hen kia mera ghar busy ga ya nhi qk mai 6 months sy apny father k yahan hon mera ghar busy ga ya nhi im very upset

  8. May 14, 2013 at 2:46 pm

    madeeha minhas

    Reply

    ASSALAM U ALIKUM.
    meri behan ka naam mamoona minhas ha. 5 or 6 months se hamari aik family se uski shadi ke mataliq baat chal ri ha. larke ka naam muhammad waris ha . plz ap meri behan ke liye istakhara kijiey ke ye shadi uske liye behtar ha ya ni.
    shukria….

  9. May 11, 2013 at 3:07 am

    jawaria

    Reply

    salam,
    janab mai yeh janana cahti hoon k mai syed hooon ya nahi kin k buhat se log jab bhi mujh se mere walida ka naam poochte hai uske baad kehte hai k tum log syed ho jab k mujhe is bare mai pata nahi k hum hain ya nahi plz mera naam jawaria hai aur mere walida ka naam husna bano unki walida ka naam mumtaz begum hai aur mere walid ka naam saeed ahmed hai aur unki walida ka naam hawwa hai.
    salam

  10. May 7, 2013 at 5:00 pm

    farah

    Reply

    salam plz mjhe jawab dain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree