July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




828 Comments

  1. November 17, 2013 at 6:54 pm

    mohammd zeeshan

    Reply

    mera nam mohammad zeeshan hai 7/8/1982.mera masla hai k mai jis bi kam mai hath dalta ho khtm ho jat hai ya bigar jata hai mai bht pareshan ho maine phele istekhara karwaya tha os mai ha ae ti to kam shuru kia ta magr kam nae bana mera or mera apna kam hai sheltring ka kam karta ho

  2. November 17, 2013 at 4:35 am

    arooj nawaz

    Reply

    main jis sy piyar kerti hu us ka naam asad khan hai…wo meray liye as a husband acha hai ya nahi???also meri family razi nahi hai is rishty ope kia wo razi ho jaye gi??plz reply sooooooonnnnnnn

  3. November 15, 2013 at 12:18 pm

    nazia

    Reply

    aoa.mara mala ye ha k mara sister jis k nan nazia firdows ali ha aur walda k nam shameem akhter ha. apna ghra chor k maky ma a jati haa kkafi alaj kawya faraq nae parhachor k aty ha un k susral ma thory dino bad phr akali ghar chor k a jati ha na bacho ka parwa ha na kawnd k anchnk he dill ko kuch hota ha to a jati ha . asa kis waja sy hota ha koi jaddu k msla to nea plz help us mri sis k ghr khrab hony ko ha. na he namaz parti ha jb khaty ha phr lyn tb phr lati ha warana nae3een choty bachy ha ,yaha tak k apna khayal nae rakhti .jb puchty ha k kasy a jati ho to khati ha mujy pata nae chalta k kasy a jati hu achank dill ghbrata ha to dill krata ha ghr chor k chali jau.plz koi wazefa bata dy k sister theak ho jye susral waly wo b tang a gaye ha khaty ha k ham ny apny baty k 2usri shadi kr dani ha.plz mrai sister ka ghar kharab hony sy bacaha llyn

  4. November 13, 2013 at 6:25 pm

    tehmina mushtaq

    Reply

    me apni sehat k baray me pochna chahati ho.mujy plzzzzzzz lazmi batay.date of birth 5.4.1993. meri age 19 saal ha

  5. November 10, 2013 at 3:37 am

    m.zahid hashmi

    Reply

    Aslaam u laikum mera naam zahid hai meri walda ka naam nusrat hai mera masla yeh hai k main yasmeen nami larki se mohabt kar baitha houn or us se nikah karna chahata houn to kya aap mujhe batla sakte hain k mera or us ka nikah ho jae ga plz

  6. November 10, 2013 at 1:26 am

    syed fayyaz taqee

    Reply

    mai humbal name kay bare mai kuch janna chata hon ap muje is kai bare mai kuch batain ok

  7. November 10, 2013 at 1:21 am

    humbal

    Reply

    mai is name kay bare mai kuch janna chata hon ap muje is kai bare mai kuch batain ok

  8. November 9, 2013 at 9:14 pm

    Muhammad Jalil

    Reply

    May Shabana Parveen sy Rishta Karna chahta hu Meri detail ye hain Name: Muhammad Jalil Mother Name: Farida Begum Father Name : Muhammd Bashir Age : 30/01/1985 (28 year 10 months) Birth City: Rawalpindi Us ki Detail jis k sath Rishta Karna chahta hu Us ka Name: Shabana Parveen Father Name : Muhammad Israel Mother Name: Sameed Un Nisa Age: –/01/1982 (Approx 32 years) kindly muje ye btae k is k sath rishta kaisa rahe ga?

  9. November 7, 2013 at 8:53 am

    Abdul Rehman

    Reply

    Assalam o aleikum, mera naam ABDUL REHMAN, MOTHER NAME, NASREEN AKHTAR HAI.

    MERA MASLA SHADI K A HAIN. LARKI NAME HINA , MOTHER NAME ZUBIADA HAI. ky meri shadi is k sath ho sakti hain ky ye larki mere HAQ mian behatar hain plz help me.

  10. November 4, 2013 at 9:58 am

    Shahzad

    Reply

    Mein job ki wajah say bauhat peraishan hoon, 13 mahinay say jobless hoon. Jis makan mein rehta hoon woh kiraye ka hai mere pass 2 mah se kiraya denay kay bhi paisay nahin jis ki wajah say makan malik bauhat parishan kar raha hai. Kabhi kabhi dil chahta hai apni zindiagi khatam kar loon magar phir haram maut aur apnay ghar walon ka khayal aata hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree