Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
December 23, 2013 at 10:02 pm
Wasim Shaikh
5 saal guzargaye lekin abhi takkoi aulaad nahi hui marbani karke kat karin k kase n kuch karyaa hai humare upper
December 22, 2013 at 4:25 pm
nasir
mare ame ne mare leye aik rishta dhaka hai me ya janna chata ho ke who rishta mare leye bhatar hai ya nahe mara name nasir hai mare mom ka name shanaz hai our os larki ka name mariam hai or os larki ki mom ka name fatima hai plz jaldi batana plzzzzzz
December 22, 2013 at 4:18 pm
rabia
assalam o alaikum.mera name afshan hai ammi ka nam rafat hai meri date of birth 16.10.1987 hai.msla ye hai k rishte ki kahen bt nhi banti hai btaye masla kya hai or ye msla kb tk khtam hoga shukriya.
December 21, 2013 at 9:45 pm
M.USMAN
asalam alikum janab mujhy apni taleem or shadi k baray mn maloom kerna hai
December 21, 2013 at 4:14 pm
nadia
my name is nadia ilam din i m job less plz tell me about it?????
December 20, 2013 at 10:43 pm
jawad.ul.hassan
mera name jawad ul hassan hy or meri ami ka na shamim akhtar abu ka nam m.maqsood hy mujhy mery mustkbil k bary me janna hy mujhy meri taleem or career k bary me janna hy plz mujhy zrur reply kijye ga plz meri date of birth hy 17 jan 1998 jldi reply krna plzzzz
December 17, 2013 at 7:14 pm
anderkincer
ya maray ghar ma chori howe ha mat gareb ho mujay istayhara kar kay bata kon ha ap ke shu kar guzar hon ge
December 16, 2013 at 12:01 pm
Hooreen
Asalm walyqum me jis larky ko pasand kerti hon us ka nam siraj ul haq hai or maa ka nam surriya hai , ye bhi musy kehta hai k main tumy pasand kerta hon per rishta nae bhejta her dafa bahana bana layta hai plz mujy batadain ye larka mery sath sincere hai bhi ya mujy bewaquff banara hai ?
December 16, 2013 at 10:20 am
mohd.muslim
Aslaamailehkum’ mera mohd muslim h..aur meri ammi ka naam sameem h…kafi dino se bahot paresan hun..me aur mere bade bhai aur abbu sab kaam ek sath band ho gaya h..ghar me bahot paresani aa gai h..pahle sab thik tha me bhi dubai me kaam kar raha tha..lekin ab sab achank se band ho gaya…aur meri saadi ka bhi masala h..rishte to aate h..lekin kahi ho nahi pata…aur pahle mere mama ki ladki se hua tha lekin ladki ne mana kar diya ladki ne 2 baar esa kiya..pata nahi kyu…ladki ka naam Anjum h aur uski maa ka naam zahida h…agar koi ghar me esi baat h kisi ne kuch karaya h ya mujhe mere ghar pe pls..bataye kya kere kya masala h..aapki bahot maharabani hogi…pls jaldi bataye
December 15, 2013 at 10:47 pm
iqra
salam sir mera naam iqra hai meri mama ka naam tubum hai mene aaj tk jis kaam mai b hath dala hai mje nakami hoi hai beautation hun phr b koi kaam nai hota bhul jati hun 7 year experience hai beautatin ka …. shaadi jis se krna chahti hun whan mje tasali toh hai pr kaam nai ban raha hai lover ka naam akash hai os ki mama ka naam jawaria jo k ab dunia mai nai rahi papa b nai hain akela hai ap ab btain kai krun istikhara must kr dije
1991/01/09 mera birthy son