Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
August 16, 2012 at 5:49 pm
abbas ali
ma aik student ho pl zmuja bata da ka ma kiya mustakbil ma kiya job karo ga plz muja bata da.
August 12, 2012 at 7:55 pm
muhammad waqas
salam.sir kya koe aisa istikhara nhe jis mai koe jinn wgara jwab dy or kse msly ka hal pta chal jy jaisy job wgara nhe mly ya kse bemare ka ilaj?
August 12, 2012 at 1:06 pm
Rao Shakeel Ahmed
Aoa! me lahore me rehta hon. coca cola company me sales manager hon. mujhe thurday ko pepsi company se Regional sales manager ki offer ai hai. mujhe aj hi unhein jawb dna hai k me wo nokeri krna chahta hon k nai.
ap mehbrbani farma dein. istekhara kr dein.
Allah Hafiz
August 12, 2012 at 12:21 pm
alone in love
me apnay cousion sy bohat pyar karti ho r wo b muj sy bay had pyar karta ha kia hum dono ke shadi ho ja ay ge?
August 12, 2012 at 4:03 am
adeel
sir, aoa,meri shadi hu chuki hai lakin meri nokri ka mesla hai,,,,mari 6 nokri kahtam hu gai hai ,,,haal main mari nokri malasyai main lagi lakin ik saal main wo bhi kahtam hu gai,,plz mari rahunumai keray,,,,,,,,,, ur kuch pernaay ku bata day mera namaz main bhi dil nahi lagta ,,,,mari ik beti bhi hai,,,,
August 11, 2012 at 8:48 am
muhammad sajjad
main ek larki ko chata hun or wo bhi mujay chati hy kaya us say meri shadi ho jaye gi.
August 9, 2012 at 8:07 pm
AHSAN AHMED
Mere Istekhare k bare mein kb tk bata saken ge?
August 9, 2012 at 1:14 am
AHSAN AHMED
Assalam-o-Alaikum
Mere Istekhare k bare mein kb tk bata saken ge?
August 9, 2012 at 1:03 am
AHSAN AHMED
Assalam-o-Alaikum
Janab mere istehkhare k bare me kab tak mujhe bata saken ge?
August 8, 2012 at 11:00 pm
hina
salam mai aek larke ko chati hn aap aaesa karen k meri shadi ho jaae us k sath