Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
July 27, 2012 at 6:41 am
saima jalil
saima ki shadi hoi thi aur divorce ho gayi us ki 2nd shadi ki jai toh acha ho ga us ki 2nd shadi k liya soch rahy hain us mei koi problem toh nai ho giplz bataya k us k liya kya acha hai kyon k us ko lagta hai k us se koi shadi nai kara ga ami ka naam ghzala shaheen aur abu ka naam mirza muhhammad jalil hai
July 26, 2012 at 8:51 pm
Javaid
Assalam walekum Janab,
in the above mentioned Istikhara amal (Istikhbaar), in the end you mentioned that “if we do this amal 7 times after every farz namaz…” I wanted to ask which amal you’re refering to? Did you mean reciting Ya Khabeer -o Akhbirni 7 times after every farz namaz?
Thanks
July 24, 2012 at 3:11 pm
M.TANWEER
ap mere istekhara kar ke bata de or meri sahi reh numai kare ?
August 4, 2012 at 3:25 pm
Roohani Ijaz
@M.TANWEER
aap apni details k sath Email per rabta kar lain roohaniijaz@hotmail.com
July 24, 2012 at 2:46 pm
M.TANWEER
ap mere istehkhare k bare me kab tak bata de ge — ?
July 23, 2012 at 12:00 pm
aasma naz
mery husband mujhy study visa per bahir behjna chahty thy ta k mein wahan ja k un ko bula sakon mein is doran pregnant ho gae tou unhun ny mera hamal b isi wajah sy zaya karwany ki kosish ki magr Allah ki taraf sy wo kud hi zaya ho gya phir unhun ny mujhy mekay bhaj diya aur 5 din bad un k mod numbar sy mujh sms aya jis mein 3 bar likha tha k mein tum ko talaq deta hun
is silsaly mein hum ny mufti sy b ruju kiya un ka kehna hey k agr wo kud apny munh sy keh dy k msg us ny kiya hey to talaq ho gae hey app ki site sy mein ny wazifa pocha tha k wo inkar kar den kyun k mein wapis jana chahte hun aur wo wazifa kar b rahi hun plz istekhara kar k bataen k mein wahan wapis ja sakti hun k nae?aur ye bhtr hey k nae?
August 4, 2012 at 3:42 pm
Roohani Ijaz
@aasma naz
aap apni details k sath Email per rabta kar lain roohaniijaz@hotmail.com
July 21, 2012 at 4:05 am
aishaabdulghani
mery behan jis ka naam saba hai us ka rishata dekha hai us bary main bata de plese arslan name hai
August 4, 2012 at 8:01 pm
Roohani Ijaz
@aishaabdulghani
aap apni details k sath Email per rabta kar lain roohaniijaz@hotmail.com
July 16, 2012 at 1:50 pm
zubia
AOA. sir mjhy ijazat de dein me pasand ki shadi ka wazifa krna chahti hon plz me bht pareshan hon.
August 4, 2012 at 11:07 pm
Roohani Ijaz
@zubia
Ijaazat ha aap ko.
July 16, 2012 at 1:44 pm
zubia qamar
AOA sir me ny apko mail ki hai plz mjhy istakhara kr dein plz. sir meri mail ka reply kr dein 3 din ho gaey mjy mail kiye.
July 16, 2012 at 1:19 am
ziaullah
main bank mrkam karta tha mary apni ghalti sy mary job chaly gai 4 sall sy bayrozghar hoon ….kisi admi ko paisy diain hain usa jany k liay , kia mara kam ho jay ga mara usa ka visa lag jay ga…..
July 15, 2012 at 8:06 pm
asra
mangni ko 3 years hogay shaddi kub tk hogi