Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
July 15, 2012 at 5:11 pm
sundas amjad
mein ap se istikhara karwana chahati hoon meri sister in law humein bahir uk bolana chati hai kyun ke meray husband ka business yahan acha nahi hai wo kai saalo se wahan reh rahi hai kya humara visa LAG JAYE GA KYUN KE EK bar reject hogaya hai ab dobara apply karien to kya visa lag jaye ga kya hum is saal bahir ja sktey hain ye humarey liye acha hoga meray husband wahan settle ho jayein gaY UN KA naam amjad javaid hai mother name ghazala javaid hai plz mail ke zaraye reply karein istikhara zroor kijeye. thanks
July 14, 2012 at 1:27 am
madiha hanif
sir mjh istikhra s dar lagta hai……ma jis ko chati hun..us s dor ni hna chti..agr istikhra ma wo ma ry liye thk na hoa tu..mjh chorna pary ga…ma usy pay intiha chti hun….bht zayda….plz ap kuch btaye..mri madad karain,…
July 11, 2012 at 11:12 pm
Syed Shahbaaz Ali
ladke ka nam Syed Shahbaaz binte Haseena Begum aur ladki Ruksar Banu binte Noor jahan kya in do ka joda thik hai….
July 11, 2012 at 5:45 pm
shaista khan
mujhe istekhara karana hai kmain mere shohar shehbaaz khan k paas naigeria kab jaongi
July 9, 2012 at 11:57 pm
Tausif
Mera name tausif siddique hai aour main jis se pyar karta hun uska name umme zainub hai maan ka name nhi malum.kaya meri shadi usse hogi ki nahi.
July 8, 2012 at 10:55 pm
farooqi
main surah ikhlas walay wazifa k liay permission chata hun plz granted me permission
August 5, 2012 at 2:00 am
Roohani Ijaz
@farooqi
permitted.
July 8, 2012 at 10:47 pm
farooqi
kya main love k liay wazifa kr sakta hun ya wadodo ya raofo ya raheem ka wazifa kr sakta hun,
July 4, 2012 at 12:26 am
shaik hamid masood
as salamu alikum hazrat
mera naam hamid masood hai mai INDIA ka rehne wala hu
mera ek masala hai mera recently MBA hogaya hai mai 20 days may group2 aur 4 ka exam dene wala hu please ap istekhara karke bata sakte hai ki mujhe group 2 & 4 my job milsakta hai
July 3, 2012 at 5:29 pm
aisha
Assalamwalikum
mera aik dost ha mohsin.kia meri or uski shadi ho skti ha kia humary aik honay main behtari ha!?? Plz meri rehnumai farmain
shukriya
July 2, 2012 at 10:45 pm
faiza
istekhare se maloom hua hai mere shadi me bhot rukawat hai mjhe koi wazifa enayat farmaiye jazaallah