July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




828 Comments

  1. June 28, 2012 at 5:43 am

    saima ejaz

    Reply

    salaamz..thnx for ur kind reply…mujh yeh batadein k mere liyh Surah ikhlas ka wazifa kerna sai rahay ga ya koi aur wazifa karon jald achi jaga shaadi k liyh, aik jaga mera rishta hua 8 mah raha phr khatam hogaya, ab bhi rishtey arahy hein magar kahi baat nahi ban rai, tu kon sa wazifa kerna sai rahy ga

  2. June 25, 2012 at 9:13 pm

    sobia

    Reply

    salam bhai jan
    mujhy btain meri pasan ki shadi hogi k nahi mera nam sobia hay

  3. June 25, 2012 at 4:41 pm

    Abdul Samad

    Reply

    a.o.a main apna istkhara karana chahta ho plz reply me . abdul samad

  4. June 25, 2012 at 12:39 pm

    sadafgul

    Reply

    salam mery shadi kab ho gi muj bato plz

  5. June 24, 2012 at 7:24 pm

    sumaira khan

    Reply

    aoa, mian jis ko pasand karti ho unki ammi ney unki mangni kahi aur kar di hai sir plzz muje bataein kiya meri aabhi bhi un se shahdi hosakti hai?

  6. June 22, 2012 at 4:39 am

    LOVE MARIGGE

    Reply

    me 1 larki ko chata or me us se shadhi krna cata ho.wo b mujhe chati hai.
    magar larki ki ami nai chati kmujh shadhi ho…….
    plz ap mujhe is ka hal bta de…………
    ya koi aisa wazifa bata de k us ki ami man jai.or mujh se shadhi kr wa de .
    shukriya………..ap ki bhari meher bani hogi

    1. June 22, 2012 at 2:19 pm

      Roohani Ijaz

      Reply

      @LOVE MARIGGE
      wazifa for love marriage kar lain .

  7. June 18, 2012 at 6:02 am

    saima ejaz

    Reply

    asalam_O_Alikum
    kya mein apnii shaadi k liyeh sutah isklas ka wazifa ker saakti hon?? rishtey atey tu hein laikin kahi baat agay nahi berh rai,

    1. June 22, 2012 at 12:24 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @saima ejaz
      kar lain ijaazat ha

  8. June 18, 2012 at 2:37 am

    Oquasha Alam

    Reply

    Me janna chata hoon k mein jisse pyaar karta hoon ladki k naam saba hai kya uski maa ne kisi tarah k jadoo kar rakha hai

    1. June 22, 2012 at 12:31 am

      Roohani Ijaz

      Reply

      @Oquasha Alam
      email rabta kar lain .

  9. June 12, 2012 at 2:22 pm

    Sadaf

    Reply

    I hav emailed u plz reply thank u

  10. June 12, 2012 at 1:10 am

    syed azam ali

    Reply

    AOA.
    Mujy beroon mulk Malaysia jana hay job kay silsily mai.Mujy wahan say Offer aye hay.Kia meray liye wahan jana sahi hay kia wahan ki job meray liye sahi hay.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree