July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




828 Comments

  1. January 24, 2014 at 7:10 pm

    Anam kazmi

    Reply

    Mera naam Anam kazmi hai meri ami ka naam NARGIS SHEIKH hai.. Unka naam Murtuza abbas jafri hai or unki ami naam Nishat fatima hai.. Yeh rishta kaisa rahega isk bare main bata dijye

  2. January 21, 2014 at 11:35 am

    Rukhsana

    Reply

    plz sir ye bata dy k kia mery py kala jadu to ni kia kisi ne

  3. January 20, 2014 at 11:47 pm

    Anum

    Reply

    How to see the reply to the post ??

  4. January 20, 2014 at 4:00 am

    aneela

    Reply

    Asallmoa alikum …sir. mera name aneela hn or mare walida ka name … azizun nesa hn…. sir men jes larky ko chati hon us kaa name …farhad khan ..jn or us kee walida kaa name … rano bebe hn …marev…age….28 hn oe us kee 32 …sir … hum kouc sallo se sath kaam karty hn mera un k gir ana jana be houa or us kaa mery gar .ana jana . Be hoa… liken us k famile nhn manti ..kew k men phlly se daewos hon .
    Liken hamara boht aps mn etfaq bee hn ..abb koch arsy se hamary damean kafi ouljany or larea be hoti hn pr koud hee msn be jaty hn hum log..plz ap astkara kar k battaen k mare shdi wahn ho gee k nhn …..dosra maslla yee hn k menry khandan wallo ne mery pachy mon kolla hn ayen den kabhi koue chot ati hn to kabi bemare se jaan nhn chotati ..mn jes kaam mn be hath dalti hn yani noqare mn to batt banti banri roq jati hn koue kaam nhn hota har kaam nb muji shqast hoti hn men ne sare zindige dakhy boht khayen hn ir kha rahn hn mare adhi raat ko gabra kar ankh koul hajati hn dill tazi se darakta or gabrata hn plz app muji astkhra jar k zaror bataen mn boht pareshin hon

  5. January 20, 2014 at 3:35 am

    aneela

    Reply

    Assallmoa alikum … sir app plz mery bare mn astkhra karen … men jo kaam karti ho nokqarevj hawally se wo nhn hota jaha bat banti be hn to pr wahn se jawab nhn atta .. mery khadan wallo ne mery pachy kafi moh be kolla hn … mn jahn chati hn kya wahn mare sahdi ho saqti hn plz plz mji battaen … or mare adhi adhi rato ko gabra kar ankh koull jati hn…..kya wahi hn

  6. January 19, 2014 at 3:22 pm

    azeem

    Reply

    assalamualaikum mera naam azeem hafeez hai mere ammi ka naam sajida begum aur abbu ka naaam mahboob suleman hai aur meri shaadi syed asma banu naam ki ladki se fix huvi hai aur unki ammi ka naam nanhema aur abbu ka naam jaffervali hai plz mujhe bataye k kya yeh rishta mere liya theek hai…

  7. January 19, 2014 at 1:19 pm

    muhammad junaid

    Reply

    ASSALAM WA ALYKUM
    mary liya Australia jana kesa raha ga main study k liya jana chahta ho mari walada ka naam khursheed un nisa ha

  8. January 16, 2014 at 12:02 pm

    RIZWAN

    Reply

    kia app real mean bata sakty hon istkhra kar k mare shadi mare marzi se ho sakti hai ya nahi ?

  9. January 15, 2014 at 9:23 pm

    shumaila

    Reply

    sir mara nam shumaila hy mri ami ka na mohummad jan hy mry husband ka nam masood hy mri shdi ko 3 sal ho gy hy hmri olud nhi hy sub log khty hy bandish hy plz bty kia ya such hy

  10. January 15, 2014 at 3:30 pm

    shahid majeed

    Reply

    mera name shahid hai or may job karta hoon may koi bhi kaam start karny lagta hoon mera kaam nahi hoo pata nuqsaan pay nuqsaan hoota ja raha samajh nahi a rahi aisa qu hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree