Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
February 13, 2014 at 3:18 am
ZAIN
Zain ur Rehman . sir mera name zain ur rehman hai meri ami jan ka name fardoos hai or walad name tayyab ur rehman hai ? sir kiya aap mujy bata skaty hain kya meri life mai itni problam kiu hai sir mai jo kam be start krta hun shorowat theek hoti hai par last mean end boht he bura hota hai jo kam krta hun siwa nuqsan ky jaldi kabi faida nahe hota or jis cheez ko mai chata hun woh mujysy door hoti chali jati hai kiya sir app mujhy es ka koi hal bata skty hai mai bohat parashan hon or rahta hun sir plz plz jawab zaror dijya ga from ZAIN UR REHMAN
February 12, 2014 at 11:31 pm
adeel younas
kafi time se koi rozgar nahi mil raha h aur agar koi kaam karta hoon to fayeda nahi hota.is ki wajha aur hal keya h ?
February 11, 2014 at 8:29 pm
hafiz.zunair sajjad
aslam o alaikum mera name zunair h meri ami ka name azra hai mai out of country jana chahta hoon plz kuch aisa btaaen k k main jaa sakoon………
February 11, 2014 at 7:42 pm
Binish.M.Ali
plz mje istahara kerwana hay k yaha shadi krna beter hay ya ni..mera naam Binish.M.Ali hay meri ami ka naam Nasreen Akhter hay…larky ka naam M.Rehan or us ki Ami ka naam Zakiya Begum hay..
February 10, 2014 at 10:38 pm
muhammad naeem
sir,chend denoo sy mery sath kuch acha nahi ho raha her rooz koi nuksan ho jata hy .please mujy bata dein k aher esa kun ho raha hy . shukreya
February 10, 2014 at 5:22 am
Taiba Bilal
Mare shadi ko 3 Saal ho Gaye hai shadi k kuch din bad he PTA laga k Mary husband ko cancer ho Gaya hai ilage karwaya tha Sab Theek ho Gaya hum umra be kar k aye the per afsos wo bemari pher say khai or ho gai hai mari koi ulaad b nai hoi .husband bhot kamzor hai mujhy baty ma Kia Karo. ?? Kia ya bemari Allah ki tarf say hai ya koi r maslha ha.???plzzz mother name tasneem kusar husband name Mohamed bilal
February 10, 2014 at 5:19 am
Taiba
Mare shadi ko 3 Saal ho Gaye hai shadi k kuch din bad he PTA laga k Mary husband ko cancer ho Gaya hai ilage karwaya tha Sab Theek ho Gaya hum umra be kar k aye the per afsos wo bemari pher say khai or ho gai hai mari koi ulaad b nai hoi .husband bhot kamzor hai mujhy baty ma Kia Karo. ?? Kia ya bemari Allah ki tarf say hai ya koi r maslha ha.???plzzz
February 8, 2014 at 11:50 pm
Gul Ahmad
dear sir,
AOA,sir mujhay job kub milay gee,and my maali mushkilat kub khatum hoon gay
February 7, 2014 at 12:06 pm
Imran Madni
Barae karam batae aap ka kis jama’at se t’aaluk he “ahle hadees sunni barelvi Deobandi etc
February 6, 2014 at 9:44 pm
Yasir Mehboob
aoa. sir ma mechanical engineer ho. mara interview saudi arab ka city dammam ma aik company ma howa ha ab visa process ho raha ha. istakhara kar ka bataya ya job mare lia achi ha ya nai .
company ka name : Naif Salem Al Thwaqeb febrication factory ha