Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
June 17, 2014 at 11:06 pm
Raja Tahir Ashraf
Mra name raja tahir ashraf ha. Mry father ka name Muhammad ashraf ur mother ka name Hameeda Begum ha. Jis larki sy pyar krta hu us ka name samina khalid ha. Father name khalid ur mother Bashira ha. Hum bht pyar krty han ur larty bi bht han. Ma samina pa shak krta hu ka us ka dil ma koi chor ha. Ma bht zid krta hu us ka sath jis ki vaja sy ma bht parshan hu. Mri zid ki vaja say us ka gar valy nai da rhy. Kya ab hm ak ho skty hn. Kya hum achi life guzar skty han. Vo naraz ha muj sy ma bht parshan hu mjy btayn k mry haq ma vo tik ha.
June 17, 2014 at 10:20 pm
rabia
mera nam rabia hay me kise larkay ko buhat like karti ho os ka nam nahid khan hay ples ap hisasb laga kar batay k hamari shadi ho jay gi k nahi agar ho jay gi to ham khosh reh pay gay k nahi
June 17, 2014 at 3:17 pm
Mohammad Rehan
Assamoalaikum, mehrbani karke bata deyn mara job ka kiya hoga, kiya main jis jagh pe kaam kar rha hoon woh whin pe continue hoga, Ya phir koi naya job talash karoon. ajj kal bahut problems hain
June 15, 2014 at 11:29 am
Mohammad junaid
Assamoalaikum. Mere ghr bete ki peidaish hwe he 12 june 2014 ko 7:15pm bje. Me us ka naam shanza rkhna chahta hn. Plz mje btaen k ye naam us k lye suitabl he ur is naam k mane b btaden.
June 14, 2014 at 7:28 pm
munawar ali
Asalam o alikum
Mera nam munawar ali brohi hai. Me ek larki se pyar karta ho.
Larki ka nam nasreen
walida ka nam shahzadi
walid ka nam muhammad murad umrani hai.
Larki bi mujh se bht pyar karti hai.
Kya meri shahdi is larki se hogi. Agar hogi to kb tk hogi.
Or shahdi ke bd zindgi kesa guzrega.
June 11, 2014 at 5:15 pm
muhammad kashif
Assalam u alaikum. mera naam mohammad kashif ha , abhi 5 month pehle mere or mere bhai ki shadi hoi ha.. bhai ki jis larki se shadi hoi ha wo chacha ki beti ha.. maine unknown me shadi ki ha.. pata nahi mere maa baap mujhse badal gaye hain, aise nahi thy wo log,, ghar me kafi masle masail horahe thy is liye maine rent per ghar le liya ha ..buhut pareshan hon me apne maa baap k bartao se mehrbani farma kar mujhe batayain k aakhir masla kya ha …
June 10, 2014 at 8:15 am
munawar ali
Me ek larki se pyar karta ho
larki ka nam nasreen hai
walida ka nam shahzadi or walid ka nam muhammad murad hai.
Kya mera shahdi hoga is larki se. Hoga to kb hoga. Shahdi ke bd zindgi kese guzrega. Mere shahdi is larki se hone se pehle beach me bht rukawaten hain. Or larki ke walden nafrat karne lage hain hm se.
June 9, 2014 at 11:12 pm
naheed
aurangzaib s/o musarat jabeen , ka rishta mere liye kaisa rahega?
June 9, 2014 at 1:53 pm
Muhammad imran
A O A mn apny hospital ka isthkara kar wana cahta hun
June 8, 2014 at 5:00 pm
saba
ma apni anti k batahy sy pyar karti hun kay mari shadi us ho gi