Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
May 21, 2014 at 3:14 pm
sobia
mera name sobia he or me ye pochana chate hu ke men ak larke say bohat zeda payar karte hu kaya mere shade us say ho paie ge or agar ho ge to shae he
May 20, 2014 at 5:50 pm
Farina
Mara husband ka naam anas khan or mara farina gul hamary halat kab teek hogay
May 20, 2014 at 4:20 pm
sana aman
Assalam o Alaikum..
Main pasand ki shadi krna chahti hn mera name sana walida ka name nasreen hai. Jis larke ko main pasand krti hon uska name zain-ul-abdeen or uski walida ka name sumaira hai. Plz mjhe btayen k meri shadi ho skti hai or kb tak ho skti hai . Or ye shadi kamiyaab ho gi..
May 18, 2014 at 9:21 am
azra
Assalam o alekum, pochna ye chahti hon k her ferz namaz k bad iss amal ko 7 dafa pori tadad k sath perhna hey ,,,ya darood k bad YA KHABERO AKHBIRNI or YA ALEEMO ALLIMNI ek ek bar perna hey or phir darood,ya ye sab saton bar jitni tadad main likha hey utni hi bar perhna hey?
wassalam
azra.
May 16, 2014 at 8:56 am
naim khanam
Maira naam naim h aur maira oberation huwa h aur pait mai bohot dard rehta h purai badan mai dard rehta h ap koe duwa ya dawa bataye plzzzz
May 14, 2014 at 8:23 pm
faisal ali
Asslam-o-alikum Mera name faisal hy meri walda ka nam nusret prvean mujy ap sy ik question ka ans pochna tha k gar main jado hoa hy pta kesy lgyea jay
es liy k mery walid ik sal sy gr frig he bthy hoy hain mery bai ko jb b nokri mlti hy i mheany k bad foren phi cle jati hy bray mher bani kr k meri proplem ka hal btay
May 14, 2014 at 8:23 pm
faisal ali
Mera name faisal hy mujy ap sy ik question ka ans pochna tha k gar main jado hoa hy pta kesy lgyea jay
es liy k mery walid ik sal sy gr frig he bthy hoy hain mery bai ko jb b nokri mlti hy i mheany k bad foren phi cle jati hy bray mher bani kr k meri proplem ka hal btay
May 14, 2014 at 4:02 pm
Afzal Laal
mera naam afzal hay or maa ka naam razia perveen hay may saudia may kaam kerta hoon meri canada ki immigration ho gai hay please ap mujhy batain k mera wahan jana sahi ho ga biwi bachon k sath.
May 14, 2014 at 10:26 am
Raheela
Aoa maine aik mgs kia tha kb tak jawab mily ga?boht parehan hu me plz jaldi jawab dain
May 12, 2014 at 7:03 pm
Husna shaikh
Assalamualaikum muje ye janna h k mai jimse bepanah mohabbat krti hun kya wo b mujhse utni hi mohabbat krte h humari shadi hogi ya nhi kyu ki unki shadi pehle se hi fix ho chuki h?