July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




828 Comments

  1. May 9, 2014 at 12:39 pm

    salman

    Reply

    SIr i sent a problem one month ago but no reply received yet. I request for reply

  2. May 9, 2014 at 8:27 am

    Shiraz Yaqub

    Reply

    AssalamAlaykum,

    my name is Shiraz Yaqub, my fathers name is Mohammad Yaqub, my mothers name is Shahida Nasreen Yaqub.

    I have been unemployed for 9 months now and have applied for a lot of jobs and have done a lot of interviews as well, but nothing is coming through. Can you please do istikhara for me and please provide me with some dua which will help me get a job soon inshaAllah.

    JazakaAllah
    thanks

  3. May 8, 2014 at 10:30 am

    imran ali

    Reply

    aoa . mughko estakhara nikelwana hai k mainy BA kia hoa hai or mere job ni lagti or ab to ye ho gaya hai merey sath k mera job ka dill bhe ni krta job ka naam aae to mera dill kanp jata hai plz mughy es ka koe hall batein,

  4. May 7, 2014 at 3:32 pm

    waqas

    Reply

    asalamualaikum mujhe janna hai k main jis se beinteha mohobat krta hon kya wo mujh se suchi hai ya nhn mera naam waqas walda ka fatima larki ka nusrat walde ka fapul wo to bht kehti hai qasmen khati hai even QURAN PAK bhi uthae hn wo b 5 bar jo kehta hn krti h phr bhi shak nhn jata bas wo roti rehti hai kehti hai k main tumhe marte dam tak chahti rahongi chahy tum kitna bhi kyun na tarpao plz mujhe bta den main shak aur waham main pagal hogya hoon plz help me larki suchi hai ya jhoti

  5. May 7, 2014 at 2:00 pm

    muhammad naseem pasha

    Reply

    assalamualaikum..mera selection hua hai BEL jo Kotdwara(city) me hai.,mujhe ye pata karna hai k kya mera transfer BEL Machilipatnam(city) me hoga ya nai
    jazakallah

  6. May 7, 2014 at 10:29 am

    salman

    Reply

    sir i m still waiting for ur kind reply.

  7. May 4, 2014 at 10:47 am

    junaid ahmed

    Reply

    assalam u alikum sir hum 2007 se job search kar rahay hia kahin kamm nai horaha hia apse guzarish hai k jaddu k asrat nazar a rahay ahi humei kyun k aik dafa hamari phopi k ghar se meethay chawal laye thay whan se taweez nikla tha usko hum ne khol k daikha to red colour mei tha upper bhott banay howay thay walid sahb ne usko mitti mei ghar diya tha lagta hai uskay asrat abhi tak mojud hia apse guzarish hai k agar kuch hia to kaat kar dey ap plz aur hamaray liya dua karwaaana hai apne naam le kar hum allah walay ban jaye buray kaam chor dey ameen plz hamari rehnamai farmayi plz istikhara karway k hum btaye plz mujhe ap email adress pe kar dey jawab send plz uper jo likha hai

  8. May 4, 2014 at 2:07 am

    aqsa

    Reply

    mera rishta aya hai lrke ka name farhan aur uski ma ka name hameeda hai plz btain k ye rishta kesa rahe ga lrka saudia hota hai meri ma ka name deeba hai detail me bta dain thanks

  9. May 1, 2014 at 10:31 pm

    rafia

    Reply

    Meri bati RASHMINA kky rishtay to bahat aty hain lakin bech may hi khtam ho jaty hain..kiua koi rakawat ha. ua Allah ki traf sa hi dar ha.

  10. April 28, 2014 at 5:03 pm

    muhammad faheem

    Reply

    asalam o alikum

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree