Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
April 28, 2014 at 2:38 pm
Emaan
salam ..ugr ap say isthkhara krwana ho tho ap kar dain gay..?
April 28, 2014 at 10:11 am
faiza murad
mera naam faiza hain main apni shadi ka istikhara nikalwana chahti hoon pasand ki shadi krna chahti hon per mere ghar razi nhi horahy ap plz bataen kia meri shdi karna behatr hai khurram k sath
April 26, 2014 at 9:19 pm
sakina
mera naam sakina hay meray husband ka naam salman hay mujhay ya bataden humary halat kab tak thek hon gay
April 26, 2014 at 11:25 am
Raheela
Asalam.o.alaikum .mera name raheela walda ka name hakeema.mje istakhara karwana ha k jis larky se meri mangni hui thi jo k ab toot chuki ha agar hum dubara koshish karen to kia wo larka mere liya acha hoga.hamari mangni b halki phulki baton ki waja se toot gai. larky ka name nabi bux os ki walda ka name bachal ha
April 26, 2014 at 11:03 am
raheela
Asalam.o.alaikum.mera name raheela walda ka hakeema.mje istakhara karwana ha meri mangni toot gai agar hum doobara wahan koshish karen to kia wo larka sai ha mere liye
Os ka name nabi bux aur walda ka na.e bachal ha.
April 26, 2014 at 10:33 am
mustansar
my name is mustansar i want to know that my wife is said she is unhappy with me and not want to live with me kindly check why this happen because i love her very much
April 22, 2014 at 11:37 pm
syed saad iqbal
as salam o alikum mujh ko istahara nikal wana hai shaadi kay liyay but mari ami nay nikala tha who theak nahee aya hai kia mai dobarah nikal wa sakta hoo?????
April 19, 2014 at 1:59 am
imran javed
A/w Bhai Jaan Maaf karna Lekin aapki website pe Jutto (shoes) ke aid chal rhe hain. Jo ko mujhe lagta he Allah ke naam ke sath bilkul sahi nhi he.
April 19, 2014 at 1:07 am
shahjahan
Assalamaleikum mera naam shahjahan hai mein koi bhi kaam mein nakaam hoti hoon jaise shaadi aur business mein fail.
April 18, 2014 at 7:59 pm
Ali Raza
mere nam ali raza aur mere walda ka nam Shugufta Parween hy. mere shadi Rumana se ho gi ya ye mere lai thek hy ya thek nahy. plz main bohat preshan hun plz sir g istkhar kar ky batain plz