Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
April 14, 2014 at 4:10 pm
mohammad wasim yousaf
business problem
April 14, 2014 at 1:14 pm
imran ali
job
April 10, 2014 at 9:36 am
Huma Moazzam
mere miyan ka nam Mohammed Moazzam Khan h ,
Mother name Zaibunnisa h.
pls pls jald jawab bata dy
April 10, 2014 at 9:32 am
Huma Moazzam
mere miyan is waqt dubai me hyn wo visit visa p gai the waha un ki job lagti h or khatam hojati h,me y janna chahti ho k aisa q ho raha h hum ne is kam k liye istekhara nai karwaya tha.ab wo wapis b arai h hum bohat qarzy me agai hyn.pls dua kry hamary haq me beht ri ki.ameen
April 9, 2014 at 8:37 pm
mohammad nadeem
i want to trade in cammodity market
i is good for me or not
my name is mohammad nadeem
my mother name is qamar jahan
April 8, 2014 at 11:57 am
Shazia Amrin
Assalamalaikum! mere liye koi accha rishta ke liye duwa ki durqast! jo rishtey ate hai toh abba ko pasand nahi aata, ya ladke wale pasand nahi karte abhi meri choti bahen ka rista hogaye hai
April 5, 2014 at 5:56 pm
Tayyba
Mne ek MSG snd Kia ha uska jawab kb mile ga
April 5, 2014 at 5:54 pm
Tayyba
Maine ek MSG snd Kia ha mujhe iska jawab kab mile ga
April 5, 2014 at 1:21 pm
Aqsa
mere rishte ki baat do jaga bt chal rahi he me jan’na chahungi ke mere lie konsa rishta munasib he .
mera nam Aqsa hai
meri ammi ka nam zahida parveen he.
larke ka nam ali muhammad hai or us ki maa ka nam fatima ha.
dosra rishte me larke ka name Ali khoso ho or uski maa ka nam sheeren hai
April 5, 2014 at 10:24 am
Nigar Tabassum
janab mera naam Nigar hai ammi ka naam uzma h meri age 24 years h m ek ladke s mohabbat krti hu jiska naam sartaj ali h uski maa ka naam wajida tabassum hai plz istikhara krke ye bta dije kya ye rishta hum dono k liy sahi h ya nhi?ye ho skta h ya nhi kyoki hmare parents is rishte s razi nhi h…..