July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. July 2, 2013 at 7:41 pm

    Nabeel ali

    Reply

    As-Salam alaikum Sir Main Yeh Janna Chahta HUn ke MEra Kaaam achanak se Bhet Gaya Hay Iski KOee Waja Election se PHelay Mera Kaam Acha Khansa THeek Chal Rah Tha ALLAH Pak K karam se Main PRinting K WOrk ka Chota Sa Business Karta HUn Aur PUri Family Ki Zimedari ALLAH Pak K karam Se Uthata hun sir Bat darasal Yeh hay K ElectioN Se Kuch days PHelay se Achanak Se Kam BHt Slow Hogaya Hay Bus Tuk tuk Chal Rha Hay ALLAH KA SHukar Hay Lekin jis Hisaab Se CHalna CHaeey Nahi Chal Rah Hay aur EK Bat Aur AL hamd ulilah Main Namaz Ki Bhi Pabandi KArta Tha Lekin Ab Itni Dil Chaspi Bhi Nahi Rahi NAmaz main Plz Meri Problem ka Koe Haan Nikalen KOe Wazifaa ya kuch JIs Se Meray Karobar Main Kherobarkal HOjaey InshaALLAH ek Baat AUr Sir MEra pas Jo Order Aah Rahe HEn Wo Bhi AMount ki Kisi problem Ki Waja se Pending Ho RAHe Hen Mera Kuch Samjh Main Nahi Aah Raha Plz Is Matter Perr Gor kijaey THankx Regard: NABEEL ALI

  2. July 1, 2013 at 4:05 am

    saima

    Reply

    salam, app ne jo ya khaberoo wala isthkara batya hai us main faida wala part main likha hay kay 7 martba har namaz kay baad partahin kya pura amal karna hai ya phir sirf ya khaberoo akhberni patrena hai.thank you and god bless u.

  3. June 29, 2013 at 3:28 am

    sadia mohsin

    Reply

    sir !asalam-o-alaikum mera bete hai 13 saal ka bohat pareshan karaha hai school se bhi nikal diya hai bohat pareshan hon meri madat kijeye

  4. June 22, 2013 at 11:28 pm

    farah hamaza

    Reply

    AOA mere shohar ka naam hamza ashiq chaudhry hai hamari shadi ko 4 saal ho gae hain pr ek saal se on ka salok mujh se acha nhi hai baat baat main larai galian talaq ki dhamki mar pit or mian biwi wale talokat main b jhijakte hain main bohat pareshan hon ap plz meri madad karen on ka ek larki k sath talok b hai pr mujhe kehte hain k chor dia hai on ki walda ka naam tahira begam hai

  5. June 20, 2013 at 11:35 am

    ZOYA

    Reply

    meri pareshani yeh hai k main or ek ladka ek doosre ko bohot pasand karte hai par unki ammi nahi maan rahi… or unhone pata nahi kya kar dia hai jisse wo ladka mere se baat nahi karaha hai or milta b nahi hai… mujhe sath mahine hgaye hai usse baat kiye hue main namaz b padhti or bohot wazife b kiyer hai par kuch asar nahi hota….. main aap se darkhwast karti hoon k mera isthikara nikale mera naam zoya hasan hai or ammi ka rukhsana hasan….. main bohot pareshaan hoon madad kare plzzz jawab jaldi de…

  6. June 20, 2013 at 10:37 am

    ayesha

    Reply

    for merrige problams

  7. June 19, 2013 at 10:53 pm

    Gaida Basawab

    Reply

    salam
    mera nam gaida he.. mai ek ladhke ko passand kerti hu jiska nam shafee mansuri he or hum dono nikha kerna chahte he… per humare ghar wale razi nahi.. aap plzzzz ho sakhe to aap jald se jald koi wajefa bataye k humare ghar wale man jaye… aap se madad ki darkhawast he….. plz meri madad ki jiye….

  8. June 18, 2013 at 4:50 pm

    Muhammad salman khan

    Reply

    Asalam o alikum sir i am working in telecom company and want to leave the job and wanted to start property business(buying and selling of plots) in islamabad i am living in peshawar with my parents but for business i have to sell my house in peshawar and move to islamabad so please through istikhara do let me know that is this decision good for me and for my family.

  9. June 16, 2013 at 2:06 pm

    sadia

    Reply

    aslam u alikum
    mera name sadia hai main ba ki student hon
    main ek lrky sy boht pyar krti hon wo b mery sy boht pyar karta hai laken mery ghar waly is shadi k lea nai manty plz koi esi ayt btyn jis ko perh kr apny ghr walo ko mna sko
    or apni zindgi khushi sy guzar sko
    ap k jawab ki talb rahy gi
    shukriya ‘]
    ALLAH HAFIZ

  10. June 15, 2013 at 11:51 pm

    muhammad abbas ali

    Reply

    salam, i want to ask for istakhara about marriage when and where it will take place

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree