July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. July 20, 2013 at 1:22 pm

    rukhsana

    Reply

    salam..
    mei kafi arsay se pareshan thi .. mujhe apne mojooda ghar mei ghutan ka ehsas hota hy aur mere shohar ka rawaiya b mujse uktaya hua rehta hy . tou mene socha k aya makaan bna lete hyn ..shyd k mahol ki tabdeeli ki wja se un k lehjay mei kuch narmi aa jye aur mera dil ghar mei lgna shuru o jyn. mei ye jana chahti hun k naye ghar ja kar mere azdawaji halaat behtar o jyn gyn k nahi.. mei apki mamnoon hun gein. shukriya ..

  2. July 20, 2013 at 12:05 pm

    shumaila erum

    Reply

    mera ye masla hai k hmarey ghr main hmesha kil kil rehti hai,ghr k afraad main yakjehti jesey na ped ho gai ho, abu ammi lartey rehtey hain or behn baihyo main b takrar rehti hai,or bri behn ghtya k marz main mabtla ho gai hain jis ki bina pr on ki shadih ka b masla ho gaya hai , hm bohd pareshan hain plzz help me, or merey ristey atey hain pr baat naih bn pati main janna chati hon k koi rakawat tu naih or kb tk shadih k chance hain.

  3. July 20, 2013 at 11:40 am

    naila

    Reply

    mera masala ye hain k mere nana abu k ghar se glass chori ho gay hain meri munai mujh p ilzam lagana chahi hn pata nai wo kiu asa kar rahi hn kah rahi hn k me apne ab u s hisab lagwaon gi u sne pure ghar ka jeena dobar kia hn . us ka name uzma us ki ami ka name sarya hn glass us ne chori kiy hain ya kisi or ne plz solve this matter

  4. July 19, 2013 at 11:41 am

    hamna sheikh

    Reply

    hamare ghar sai paisay gum ho jate hain bdhi pareshani hai k kn lai jata hai…plzzzz help krein.Mussrat sheikh

  5. July 19, 2013 at 11:37 am

    hamna sheikh

    Reply

    mai bemaar rehti hoon aaj kal pait mai takleef hai…mje yai kyun takleef hai

  6. July 19, 2013 at 9:53 am

    SOBIA

    Reply

    meri job saudiarabia may ho gai hay, may doctor hon, i want to knw k meray aur meri family k liye yeh kaysa rahay ga

  7. July 19, 2013 at 9:30 am

    muhammad akbar

    Reply

    mujhay apnay baray m istkhara kerwana h k roos ja ker kam kerna mere lay kaysa rhay ga or kab tak mera visa a jay ga

  8. July 19, 2013 at 3:13 am

    firdouz

    Reply

    Assalamu alaikum..mera masla ye hai ke me ladke se pyar krti hu.unka naam mukhtar hai.wo mujhse shadi karna chahte the lekin mere gharwale unke liye kabi razi nhi the aur mene b unhe shadi ke liye mana kar dia tha abhi 1 mahine pehle hi unki shadi hui hai aur wo uss shadi se khush nhi hai or unki biwi unke relatives me se kisi ki h to use talaq b nhi de paa rahe hai.zara aap m istekhara kar k bataiye kya wo sach me mere pass hamesha k liye wapas aayenge.
    jazakallah khairan…

  9. July 17, 2013 at 3:39 am

    MIRZA TAHIR BAIG MIRZA

    Reply

    Salam

    5-6 years sa halaat kafi mushkel hogaya haen koi karobar set nahi ho pa rah , karz charta ja raha
    jis wajeh sa kafi court cases bhi haen kuch bhi karoen kuch theek nahi hota entha ki mali preshani ha
    please istikhara kar ka bataen kaya wajeh ha.

    MIRZA TAHIR BAIG MIRZA
    MOTHER NAME : INAYAT BEGUM

  10. July 16, 2013 at 1:33 pm

    sajid amin tipu

    Reply

    Aslam o alikom
    mera masla ye he ke jiss kaam ko mein karna chahta ho wo ya to delay hojata he ya hote hote rukh jata he
    mein abi abudabi mein visit par aya ho lekin jaha meine apne kam ka interviw diya he mein ke pass takreban 10 din se kaam kar raha ho plz ye btade ke jaha mein bhetha kam kar raha ho wo kia mere liye thiek he ya nai muje hamesha darlaga rehta heke mera kia hoga muje apni faimly ko spot karni he mein apne ghar mein bara ho mere walid wafat pagae he ab muje he sub koch sambhalna he plz help me urgant

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree