July 17, 2010 in Istikhara

Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah

Istikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.

1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)

2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.

3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.

4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.

5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 

Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.

 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher

100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)

  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)




822 Comments

  1. July 16, 2013 at 12:19 pm

    saima imtiaz

    Reply

    asa sir meray husband ki job chali gaye hay wo 3 mahinay say jobless hain main boht preshan hoon btaye mehrabani istikhara farma kay bata dain aur agar kuch parhai bi bata dain to boht meharbani ho gi main boht preshan hooon

  2. July 16, 2013 at 3:27 am

    Shahnawaz Ashraf

    Reply

    Asalam u Alikum

    meri umar 30 yrs hai aur mujhay apni shadi ka istikhara nikalwana hai meri walida ka naam zubaida ashraf hai mujhay ek ladki pasand hai us ka naam rukaiya jameel hai aur us ki walida ka naam anjum jameel hai kia app mujhay batasaktay hai k meray liye yeh rishta behtar hai ya nahi plz detail mai batai

  3. July 15, 2013 at 1:06 pm

    SABA

    Reply

    As salmaualaikum,Problem ye hai ki meri shadi 3 mahene baad hai,pr mujhe janna hai ki shadi mustaqbil me kamyab hogi na.kyunki ladke ka shayad kisi dusri ladki se mamla hai par ab tak yeh such hai ya jhut malum nahi ho raha hai,ladke ka naam Haris Baig hai or un ki walida ka naam Shaheen Baig hai,

  4. July 13, 2013 at 1:37 pm

    anam

    Reply

    mra shadi ka wazifa hai kab hogi????

  5. July 13, 2013 at 11:52 am

    Zeeshan Ali

    Reply

    As Salam o Alaikum. Janab mera masla ye hai main jis se shadi karna chahta hun us ki family ne istekhara karwaya tha or maine khud bhi karwaya tha dono taraf se behtari ki taraf ishara tha. Lekin mere waliden razi nahi kisi bhi surat har harba istemal kar liya lekin wo maan’ne ko tayar nahi or dusri taraf larki ke ghar wale yeh kehte hain k apne parents le kar aao. Hum yeh chahte hain ke pehle to mere parents maan jaen agar nahi bhi mante to larki ke parents mujh akele par bharosa kar k mujhe apni beti de den ta’k kam se kam us ki family ki razamandi shamil ho jae. Hum koi ghalat qadam nahi uthana chahte or is liye hi hum pareshan hain. Bara-e-Meherbani hamari koi madad karen.

  6. July 12, 2013 at 5:37 pm

    nosheen

    Reply

    aslam.o.alikum ma apni sister k lia istakhara krwana chati hn us ka parposal aya ha or larky walo ny istakhara krwaya to un ka sahi aya ha jb k hm ny krwaya to sahi nahi aya mari sister ka nam nosheen akram ha or walida ka nam zahida bagam ha plz jtni jaldi ho sky ap hmy guide kr dy k istkhara haq ma ha ya nhi ta k hm lrky walo ko mnasib jwab dy sky

  7. July 12, 2013 at 5:28 pm

    Atif Qadeer

    Reply

    Assalam-0-Alikum
    Mera masla ye hai k . Mera har kam olat hojata hai . Hamari family shop hai . Tailor shop hai aapass main kohi na kohi jaghra hojata hai . Muj see . please answer dee main wait kar ra ho.
    ok

  8. July 9, 2013 at 4:31 pm

    amna mahmood

    Reply

    A.A mujhay istakhara karwana hai apnay rishtay say mutaliq. larkay ka nam nabeel hai. hum dono chatay hain k shadi hojaye.ap istakhara karkay btadayn kya hmari shadi ho jani chaiye? plz reply

  9. July 2, 2013 at 10:29 pm

    nadia

    Reply

    My name nadia
    My mther name rehana
    husband name ilyas qader
    his mther zubaidah
    11 years have passed but i have no child.doc tors say my tubes are blocked and i can not become mother.
    I am very dipressed.
    I also want to tell u that that last 3 days has passed ofmy period date was due.but periods not came.

  10. July 2, 2013 at 8:54 pm

    Faiza

    Reply

    Asalam u Alaikum,sir meri date of birth 23 Auguest 1986 hai meri walida ka name khalida hai
    mai buhat ziada tensions mai rehti hun mery her kaam mai raqatain banti rehti hain koi choti si b koi chees lyni ho ya koi kaam ho kabee nhi aram sy hota meri shadi b nhi ho rahi baat shuru hony sy pehly he katam ho jati hai jissy koi rokta hai mery her kaam ko.5 saal ho gy hai graduation nhi howa. 6 sall pehly mangni hoi the hum log ki tarf sy inkar ho gia tha us k baad abi tak koi baat nhi banni. her waqt rooti rehti hun kissi sy baat krny ko dil nhi krta. behano sy b aksar larai jagra rehta hai .
    plz istakhara kr k btaian q itni parishania ,masly banty rehty hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

By browsing this website, you agree to our privacy policy.
I Agree